Thursday, December 5, 2013

Random thoughts:

Still incomplete... May be I ll complete it in near future...

aaj jab ek nazar aas paas ki bheed ko dekha,
har shaqs ko khud ki talaash mein masroof dekha;
Socha ki jahaan mein aap to mukammal se honge,
fir aapko ko bhi apne mein hi uljha sa dekha.

har kisi ko kisi ki hasrat mein tadapta dekha,
‘kuch nahi’ se ‘sab kuch’ ki daud mein shamil dekha;
thoda sa mil jaane par aur paane ke laalach ko dekha,
‘Ek’ ko bhi apne aage sifar lagane ki koshish mein dekha.


-Ranjeet Sinha

Sunday, September 29, 2013

Random thoughts :

Just thought of revisiting the old 'me', The days when I used to write :) :) ....


us din jab hum apne andar ke toofano se joojhte hue,
us din jab hum apni hi pahelion ko boojhte hue,

us din jab hum akele hanste hue, rote hue, gaate hue,
us din jab hum bheed mein khudd ko tanha maante hue,

us din jab hum yu hi kuch sawaalo mein uljhe hue,
chalte hue, bhatakte hue, girte hue, sambhalte hue,

jab achanak ja pahunche kisi aur hi jahaan mein,
ek aisa jahaan, jahan na khuda tha na hi ishwar,

na mandir, na masjid, na aarti, na azaan,
na jaati, na dharm, na aarti, na namaaz,

the to bas haste muskurate khikhilate insaan.